Breaking

Post Top Ad

Wednesday, June 5, 2019

Vivo V15 Pro Review - Shashank Army

Vivo V15 Pro

China Manufacturers Company Vivo Ne aapna Mid-Range Flagship Phone Vivo V15 Pro india mai 22Feb Ko Launch kiya. Iis Phone main highlighting Hai ki iss phone mai aapko 48Mp wala Camera Rear mai diya gaya hai.

2019 Mai aane wale 48Mp wale XiaomiOppo or Huawei ke phone compete karne ke liye vivo aapna new phone Vivo V15 Pro India Mai launcha kiya hai. Vivo ne last year mai world ka first pop-up Camera wala phone launch kiya tha. Or sathi hi in-display Fingerprint ka innovation Bhi Sabse pahele Vivo Ne kiya tha.





New Technology invention karne mai Vivo Company ka bahut bada yogdan hai. Ok Let's find out which new features are present in Vivo V15 Pro

Design:-

Vivo Company ne aapne bahut sare phone ke sath design ke mamle mai Experiment kiya hai. Iis phone ke sath bhi vivo experiment kiya hai. Iss Vivo ke phone mai flate black desing ka use kiya gaya hai. Sath hi iss phone mai triple rear camera setup diya Gaya hai. Front desing ki bat kar to front mai full view display diya gaya hai. Or wahi display mai in-display Fingerprint scanner bhi diya gaya hai.

Iss phone back cover pai New techer diya gaya hai jo Colourful lights mai reflect hota hai. Iss phone ko mid-range mai hote hua bhi flaghship jaisa bana ne ke liye vivo ne iss phone ke screen ke bezels Bahut hi kam rakhe hua hai.

Performance:-
Vivo ke Dusre phone Ki tarha hi Vivo Ke Vivo V15 Pro mai bhi aapko Better Artificial Intelligence Ka Support diya gaya hai. Iss Phone Mai Aapko Qualcomm Snapdragon ka 675 wala chipset AI Engine ke sath milta hai. Processor Artificial Intelligence Aur Machine Learning Mai bahut hi better performance deta hai. Octa core processor Hone ki vaja ha se phone bahut badiya performance result deta hai. 

Iss Qualcomm Snapdragon 675 mai aapko legging koi complaint aapko nhi aayegi. Processor ko aur bhehtar bana ne ke liye iss phone mai aapko 6GB Ram or 128GB Storage di gayi hai. App iss phone ke storage ko micro sd card dalke expand bhi kar sakte hai. 

Phone mai aapko dual 4g Volte ka bhi support diya gaya hai. Phone ke operating system ki bat Kare to out of the box aapko android 9 pie Funtouch os Ka support milta hai. Multitasking and performance ki bat kare to ye phone limit se bhi jyada aacha performa karta hai. 

Phone ki gaming performance ki bat kare to highly graphical game jaise pubg,asphlt 9, etc... Jaise game mai bilkul bhi lag nhi aaya hai. Iss phone mai aap game ultra hd mai to nhi khel sakte par other mid range phone se compared kare to iss phine ki performance better mani ja rahi hai. 

Phone mai in-disply fingerprint scanner bhi diya gaya hai joo ek plus point mana jata hai other mid range phone ke competition mai. Phone mai 3.5mm ka headphone jack bhi diya gaya hai. 

Camera:-
Vivo Ke Vivo V15 Pro ka hilighting feature to iss ka camera hai. Iss phone rear ke side mai Triple camera set up diya gaya hai. Triple camra setup mai primary 48Mp ka camera hai aur 8mp aur 5mp ke aur dusre do camera hai. 

Iss year bahut se company walo ka main motive hai best camera or iss motive ko dhyna mai rakhte hua kai sare phone launch hua or kuch phone launch hone wale hai. Iss phone ke old school feature enable karke aap 48mp wale photo 4:3 aspect ratio mai click kar sakte hai. Iss phone ka camera low light mai bhi bahut better picture click karta hai. 

Selfie Camera ke bare mai bat kare to Vivo or Oppo Jaise company aapko best camera provide karte hai. Iss phone bhi aapko 32Mp ka front camera diya gaya hai. Iss phone mai notch nhi hai iss waja ha se vivo ke nex ki tarha pop up selfie camera diya gaya hai. 

Battery:- 
This year bahut se mid range phone 4,000Mah ki battery ke sath aata hai. Battery ke mamale mai Vivo V15 Pro phone ki con hai. Iss phone mai 3,700Mah ki battery Milte hai. Phone mai quick charge ka bhi support nhi diya gaya hai. 

Phone ko full charge karne mai 2hrs ka time lagta hai. Battery backup ki bat kare to full charge mai aap iss phone ko pure 1 din use kar sakte hai. Phone ka 1 plus point bhi hai ki app 5% Charging hone par bhi aap Netflix pe 60min to 90min tak strimming kar sakte hai. 

Phone mai aapko Micro Usb charging ka support diya hua hai.

Conclusion:-
Vivo Ne Vivo V15 Pro ko 28,990Rs mai Launch kiya hua hai. Iss phone ke sath competition karne ne ke liye market mai poco f1,One plus 6t jaise mid range smartphone hai. 

Phone ka in-display fingerprint scanner aur 48mp ka rear camera aur 32mp ka pop up selfie camera iss phone ko dusre phone se advance bana deta hai.

To Get Any Kind Of Help Comment Below

No comments:

Post a Comment

Post Top Ad